Friday, November 4, 2011

Dil aakhir tu kyun rota hai

Sharing this poem written by Javed Akthar ji.....I feel this is written just for me....or people like me.... Jab jab dard ka baadal chhaya, Jab gham ka saya lehraaya, Jab aansoo palkon tak aaya, Jab yeh tanha dil ghabraaya, Hum ne dil ko yeh samjhaya, Dil aakhir tu kyun rota hai?, Duniya mein yun hi hota hai, Yeh jo gehre sannate hain, Waqt ne sabko hi baante hain, Thoda gham hai sabka qissa, Thodi dhoop hai sabka hissa, Aankh teri bekaar hi nam hai, Har pal ek naya mausam hai, Kyun tu aise pal khota hai, Dil aakhir tu kyun rota hai.